'अत्तार' हो 'रूमी' हो 'राज़ी' हो 'ग़ज़ाली' हो
कुछ हाथ नहीं आता बे-आह-ए-सहर-गाही 'attār' ho 'rūmī' ho 'rāzī' ho 'ġhazālī' ho
kuchh haath nahīñ aatā be-āh-e-sahar-gāhī
नौमीद न हो इन से ऐ रहबर-ए-फ़रज़ाना
कम-कोश तो हैं लेकिन बे-ज़ौक़ नहीं राही naumīd na ho in se ai rahbar-e-farzāna
kam-kosh to haiñ lekin be-zauq nahīñ raahī
ऐ ताइर-ए-लाहूती उस रिज़्क़ से मौत अच्छी
जिस रिज़्क़ से आती हो पर्वाज़ में कोताही ai tā.ir-e-lāhautī us rizq se maut achchhī
jis rizq se aatī ho parvāz meñ kotāhī
दारा ओ सिकंदर से वो मर्द-ए-फ़क़ीर औला
हो जिस की फ़क़ीरी में बू-ए-असदूल-लाही daarā o sikandar se vo mard-e-faqīr aulā
ho jis kī faqīrī meñ bū-e-asadul-lāhaī
आईन-ए-जवाँ-मर्दां हक़-गोई ओ बे-बाकी
अल्लाह के शेरों को आती नहीं रूबाही ā.īn-e-javāñ-mardāñ haq-goī o be-bākī
allāh ke sheroñ ko aatī nahīñ rūbāhī



Comments
Post a Comment