Skip to main content

aankh se dur na ho dil se utar jaega, ghazal by Ahmed faraz

aañkh se duur na ho dil se utar jā.egā
vaqt kā kyā hai guzartā hai guzar jā.egā
itnā mānūs na ho ḳhalvat-e-ġham se apnī
tū kabhī ḳhud ko bhī dekhegā to Dar jā.egā
Dūbte Dūbte kashtī ko uchhālā de duuñ
maiñ nahīñ koī to sāhil pe utar jā.egā
zindagī terī atā hai to ye jaane vaalā
terī baḳhshish tirī dahlīz pe dhar jā.egā
zabt lāzim hai magar dukh hai qayāmat kā 'farāz'
zālim ab ke bhī na ro.egā to mar jā.egā

Comments

Popular posts from this blog

jab ishq sikhata hai aadab-e-KHud-agahi by Allma Iqbal

जब इश्क़ सिखाता है आदाब-ए-ख़ुद-आगाही खुलते हैं ग़ुलामों पर असरार-ए-शहंशाही jab ishq sikhātā hai ādāb-e-ḳhud-āgāhī khulte haiñ ġhulāmoñ par asrār-e-shahanshāhī 'अत्तार' हो 'रूमी' हो 'राज़ी' हो 'ग़ज़ाली' हो कुछ हाथ नहीं आता बे-आह-ए-सहर-गाही 'attār' ho 'rūmī' ho 'rāzī' ho 'ġhazālī' ho kuchh haath nahīñ aatā be-āh-e-sahar-gāhī नौमीद न हो इन से ऐ रहबर-ए-फ़रज़ाना कम-कोश तो हैं लेकिन बे-ज़ौक़ नहीं राही naumīd na ho in se ai rahbar-e-farzāna kam-kosh to haiñ lekin be-zauq nahīñ raahī ऐ ताइर-ए-लाहूती उस रिज़्क़ से मौत अच्छी जिस रिज़्क़ से आती हो पर्वाज़ में कोताही ai tā.ir-e-lāhautī us rizq se maut achchhī jis rizq se aatī ho parvāz meñ kotāhī दारा ओ सिकंदर से वो मर्द-ए-फ़क़ीर औला हो जिस की फ़क़ीरी में बू-ए-असदूल-लाही daarā o sikandar se vo mard-e-faqīr aulā ho jis kī faqīrī meñ bū-e-asadul-lāhaī आईन-ए-जवाँ-मर्दां हक़-गोई ओ बे-बाकी अल्लाह के शेरों को आती नहीं रू...